Albums
Ishq
Ansoo ChaeinChaein Chaein
Abhi to nahin magar hai yaqeen
Milay gaa kaheen mujhe chaen
Kaash koi hamsafar kisi shaam aaey idhar
Dekhoon mein chahoon mein bolon mein
Dekh mera junoon nahin aaj dil ko sukoon
Jaanay kiyoun tere bin nahin Chaein
Kaun sunay dastaan milay Qais Laila kahan
Baatein hoon nainon se nainon ki
Noor kajal tera urray dur aanchal tera
Jaanay kiyoun tere bin nahin Chaein
Chaein Chaei
Chal kuriye
Chal kuriye charkha kath kuriye
Chal kuriye lariaan wat kuriye
Tu hai kitnee bholee yeh bhi tu na samjhee
Uthnee hai teri doli kahay jaan yeh rolee
Kaisee hai tu kamlee
Kaisee hai tu jhallee
Choti ho gaee cholee
Phir bhi aankh na kholee
Babul babul babul ho gaa tere lab pe
Ronay say kya haasil chorna hai yeh ghar
Sacha saeein bolay manzar hai pas manzar
Bahar kya tu dekhay saajan dil kay andar
Jhoota hai sansar sacha hai woh yaar
Jaana hai uss paar dolee hai tayyar
Dharti kay khuda
Tum nay bhi sunee yahan kahee gaeein kaisee kaisee baatein
Tum nay bhi sunay yahan kiye gaey kaisay kaisay waday
Jhooti theein sab hee yahan kahee gaeein khushion ki jo baatein
Jhotay thay sab hee yahan kiye gaey logoan say jo waday
Dharti kay khuda bantay hain yahan
Inn ko bhi zara koi de saza
Muhron ki tarah kabhi chala rahay hotay hain woh hum ko
Paani ki tarah kabhi baha rahay hotay hain woh hum ko
Woh shammon ki tarah kabhi jala rahay hotay hain woh hum ko
Lamhon ki tarah kabhi gawa rahay hotay hain woh hum ko
Woh sitamgar hain unhain kya jeeain ya marain
Ho sitam jo bhi ussay hum gawara karein
Woh yehi chahain keh dam hum unhee ka bharain
Hum jhukain aagay unhee kay unhee say darain
Aatay hain sabhi yahan kabhi nahin jaaein gaey woh jaisay
Kartay hain jafa koi saza nahin paaein gaey woh jaisay
Unn say yeh kaho chalay gaey yahan kaisay kaisay aa keh
Ishq
Janaay Tu
Aik shabnami raat main simtee thee saari khudai
Dur dasht main rait ki chadar pe parchaee aaee
Aur bay sakoon rooh main woh meri aa kay samaee
Aa dekh yeh sara zamana yeh saari khudai hai faanee
Tu hee mera qarar
Aas kya hai jaanay tu piyaas kya hai jaanay tu ho jaanay tu
Mann jo chahay jaanay tu tann jo chahay jaanay tu ho jaanay tu
Raat ajnabi aashna sanson main sansain piroay
Raat kainaat do laraztay saey jaagay na soay
Raat bay khabar muawara duniya say rangon main khoay
Aa dekh yeh sara zamana yeh saari khudai hai faanee
Do pal ki yeh kahani tu hee mera qarar
Aas kya hai jaanay tu piyaas kya hai jaanay tu ho jaanay tu
Mann jo chahay jaanay tu tann jo chahay jaanay tu ho jaanay tu
Aas kya hai jaanay tu piyaas kya hai jaanay tu ho jaanay tu
Mann jo chahay jaanay tu tann jo chahay jaanay tu ho jaanay tu
Aas kya hai jaanay tu piyaas kya hai jaanay tu ho jaanay tu
Mann jo chahay jaanay tu tann jo chahay jaanay tu ho jaanay tu
Aas kya hai jaanay tu piyaas kya hai jaanay tu ho jaanay tu
Raat shabnami….dur dasht main rait
Aa dekh aa aaa dekh
Kaise gaoon mein
Kaise gaoon mein
Kaise gaoon mein geet gaoon mein kaise gaoon
Na teray honton kay sur meray paas hain
Na teri dharkan ki taal meray paas hai
Na teray sanson ki le meray paas hai
Na teray payal ki dhun meray paas hai
Na teri aankhon kay bol meray paas hain
Na teray jeewan ki taan meray paas hai
Na teri sangat ka saaz meray paas hai
Na teri chahat ka raaz meray paas hai
Kaise gaoon mein
Sheena
Chehra hai noor dil ka saroor
Duniya main na ho gaa tujh sa haseen
Bheegay hain nain kiyoun hain bechain
Din yeh tere dukh sehnay kay nahin
Sunn ik baar dil ki pukaar
Tujhe ho gaa
Jeena Sheena jeena Sheena jeena Sheena
Lakhon Heerain lakhon Sassian
Hoti raheen bay wasian
Torr de ishq main aaj purani rasmon ki sab rasian
Ishq main honsla harnay wali reh jaati hain kallian
Chupkay chupkay nahin hai rona
Aahain nahin hain bharna
Saath jo tere chal nahin sakta
Uss kay liye kya marna
saqi nama
Zamanay kay andaaz badlay gaey
Naya raag hai saaz badlay gaey
Khirad ko ghulami say aazad kar
Jawanon ko peeron ka ustad kar
Jigar say wohi teer phir par kar
Tamanna ko seenon main bedar kar
Jawanon ko sozi jigar bakhsh de
Mera ishq meri nazar bakhsh de
Pila de mujhe woh may pardah soz
Keh aati nahin fasl-e-gul roz roz
Woh may jis say roshan hai zameer-i-hayaat
Woh may jis say hai mastee-e-kainaat
Sheeshay ka ghar
Sheeshay ka ghar na rahay gaa
Ya phir pathar na rahay gaa
Chahay gham hoon hazaar
Kabhi mano na haar
Yeh ghar jo keh apna hai
Apna hee to sapna hai
Yeh ghar jo keh apna hai
Iss main jeena marna hai
Iss kay rangon main iss ki chahat main iss kay aangan main hai qarar
Chahay kaisee bhi sochain hoon
Chahay kaisee rasmain hoon
Chahay kaisee bhi sochain hoon
Jaltee bujhtee umeedain hoon
Rawadaree say wafadaree say ao ghar ko hum dain sanwar
Hastee apni aik manzil apni aik mil keh rehna hai meray yaar
Shamein
Meri shamein shamein nahin
Meri raatein raatein nahin
Meri shamein shamein nahin
Sooni hain meri raahein abhi
Khaali hain meri baahein abhi
Khoya khoya rehta hoon teri doori sehta hoon
Dil main hai jo kehta hoon kaha
Kaha!
Khoya khoya rehta hoon teri doori sehta hoon
Dil main hai jo kehta hoon kaha
Kaha!
Meri jaan yehi gham hai samjha nahin tu mujhe
Meri shamein shamein nahin
Meri raatein raatein nahin
Khwaabon kay siwa kuch bhi nahin
Yaadon kay siwa kuch bhi nahin
Khoya khoya rehta hoon teri doori sehta hoon
Dil main hai jo kehta hoon kaha
Kaha!
Khoya khoya rehta hoon teri doori sehta hoon
Dil main hai jo kehta hoon kaha
Kaha!
Meri jaan yehi gham hai,
Meri jaan yehi gham hai samjha nahin tu mujhe
Aisa to kabhi socha na tha aisa to kabhi jana na tha
Khoya khoya rehta hoon teri doori sehta hoon
Dil main hai jo kehta hoon kaha
Kaha!
Khoya khoya rehta hoon teri doori sehta hoon
Dil main hai jo kehta hoon kaha
Kaha!
Meri jaan yehi gham hai,
Meri jaan yehi gham hai samjha nahin tu mujhe
Meri shamein shamein nahin
Meri raatein raatein nahin
Meri shamein shamein nahin
Meri raatein raatein nahin